Daman Hai Mera Dasht Ka Daman Dusra

daman hai mera dasht ka daman dusra

meri tarah na phaDe gareban dusra

yak-rang hun main us gul-e-rana ke ishq mein

bulbul na hun ki DhunDun gulsitan dusra

tha hi gham-e-firaq mila us mein dard-e-rashk

muflis ke ghar mein aaya ye mehman dusra

teri haya-e-chashm sa dekha nahin raqib

yan ehtiyaj kya hai nigahban dusra

uryan-tanon ke sar pe teri KHak-e-ku rahe

dar-karwan nahin sar-o-saman dusra

kije zamir-e-KHak ko aadam ki chhan agar

us shakl ka ban aawe na insan dusra

ju-ul-baqar rakhe ye shaiKH-e-shikam-parast

ek KHwan kha kahe hai kahan KHwan dusra

sair-e-ajab rakhe hai teri jalwa-gah-e-naz

is lutf ka kahan hai KHyaban dusra

naqd-e-dil us ko dena hai 'hasrat' sawab o farz

us zulf sa na hoga pareshan dusra

(804) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daman Hai Mera Dasht Ka Daman Dusra In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Daman Hai Mera Dasht Ka Daman Dusra is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Daman Hai Mera Dasht Ka Daman Dusra for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Daman Hai Mera Dasht Ka Daman Dusra in PDF.