Hai Yaad Tujhse Mera Wo Sharh-e-haal Dena

hai yaad tujh se mera wo sharh-e-haal dena

aur sun ke tera us ko hans hans ke Tal dena

kar kar ke yaad us ki behaal hun nihayat

fursat zara tu mujh ko tu ai KHayal dena

us zulf-e-kaj ke uqde hargiz khule na mujh par

kyun us ko shana kar ke ek ek baal dena

main muddaa ko apne mahmil kahun hun tujh se

gosh-e-dil apna idhar sahab-e-jamal dena

is umr bhar mein tujh se manga hai ek bosa

KHali paDe na pyare mera sawal dena

hum se rukhaiyan aur munh jhulse muddai ka

bosa pe bosa har dam dun be-sawal dena

ya-rab kisi pe hargiz aashiq koi na ho jo

dil hath dilbaron ke hai bad-maal dena

wo mehrban ki hum ko altaf-e-bar-mahal se

pas apne se tha us ko uThne muhaal dena

dekhe hai dur se to kahta hai be-murawwat

ye kaun aa ghusa hai is ko nikal dena

qabu hai tera 'hasrat' mat chhoD muddai ko

dushman ko maslahat nin hargiz majal dena

(667) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Yaad Tujhse Mera Wo Sharh-e-haal Dena In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Hai Yaad Tujhse Mera Wo Sharh-e-haal Dena is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Hai Yaad Tujhse Mera Wo Sharh-e-haal Dena for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Hai Yaad Tujhse Mera Wo Sharh-e-haal Dena in PDF.