Kya Kahun Tujhse Meri Jaan Main Shab Ka Ahwal

kya kahun tujh se meri jaan main shab ka ahwal

tujh pe raushan hai dil-e-wasl-talab ka ahwal

hun main ek aashiq-e-be-bak o KHarabaati o rind

mujh se mat puchh mere ilm-o-adab ka ahwal

dil ko KHali karun ro ro ke magar main be-kas

kaun sunta hai mere ranj-o-tab ka ahwal

mahram-e-raaz nahin milta koi dard hai ye

kya tabibon se kahun ishq ke tab ka ahwal

lutf hai sab se sazawar-e-ghazab ek hun main

KHub dekha jo tere lutf o ghazab ka ahwal

ai miyan aaj to do baat meri bhi sun le

kaha chahun hun main tujh se bhala kab ka ahwal

zor hai jaise ki nisbat namak o rish ke bich

main hi samjhun teri kaifiyyat-e-lab ka ahwal

nahin dam marne ki mujh ko tere aage majal

hae sunta hai tu kis tarah se sab ka ahwal

kya koi KHush ho mere sher ko sun ke 'hasrat'

dard-e-dil hai ye nahin aish-o-tarab ka ahwal

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kahun Tujhse Meri Jaan Main Shab Ka Ahwal In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Kya Kahun Tujhse Meri Jaan Main Shab Ka Ahwal is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Kya Kahun Tujhse Meri Jaan Main Shab Ka Ahwal for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Kya Kahun Tujhse Meri Jaan Main Shab Ka Ahwal in PDF.