Na ChhuTa Hath Se Yak Lahza Gareban Mera

na chhuTa hath se yak lahza gareban mera

chashm-e-tar hi pe raha gosha-e-daman mera

jis taraf guzre kare ru-e-zamin ko gulzar

sair-e-gulshan se phire jab gul-e-KHandan mera

khelen aapas mein pari-chehra jahan zulfen khol

kaun puchhe hai wahan haal-e-pareshan mera

baKHt hain shor ye apne hi ki wo naushin lab

auron ka chashma-e-haiwan hai namak-dan mera

auron ki aankhon ko dekhun hun main didar-nasib

bana rone ko yahi dida-e-giryan mera

dur us lab se jo guzre hai dil-e-pur-KHun par

jaane mera hi jigar aur ye dandan mera

be-ajal marta raha ishq mein us ke umr bhar

kahun kis munh pe main 'hasrat' wo hai jaanan mera

(618) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na ChhuTa Hath Se Yak Lahza Gareban Mera In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Na ChhuTa Hath Se Yak Lahza Gareban Mera is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Na ChhuTa Hath Se Yak Lahza Gareban Mera for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Na ChhuTa Hath Se Yak Lahza Gareban Mera in PDF.