Yar Ibtida-e-ishq Se Be-zar Hi Raha

yar ibtida-e-ishq se be-zar hi raha

bedard dil ke dar piye aazar hi raha

jis din se dost rakhta hun us ko hijab-e-husn

apna hamesha dushman-e-didar hi raha

ye ishq-e-parda-dar na chhupaya chhupa daregh

sita hamesha main lab-e-izhaar hi raha

qaid-e-farang-e-zulf na kafir ko ho nasib

jo wan phansa hamesha giraftar hi raha

jaan-baKHsh tha jahan ka masiha-e-lab tera

lekin main us ke daur mein bimar hi raha

gar qatl-e-be-gunah tha manzur yar ko

marne pe apne main bhi to tayyar hi raha

dauran-e-lutf main tere ai mubhwis-nawaz

mahrum wasl se ye gunahgar hi raha

'hasrat' hamesha us ki shab-e-intizar mein

jun tala-e-raqib main bedar hi raha

(1112) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yar Ibtida-e-ishq Se Be-zar Hi Raha In English By Famous Poet Hasrat Azimabadi. Yar Ibtida-e-ishq Se Be-zar Hi Raha is written by Hasrat Azimabadi. Read famous Poem Yar Ibtida-e-ishq Se Be-zar Hi Raha for youth and Student by Hasrat Azimabadi. Free Download Yar Ibtida-e-ishq Se Be-zar Hi Raha in PDF.