Nazar Us Par Fida Hai Jis Ki Tabani Nahin Jati

nazar us par fida hai jis ki tabani nahin jati

koi aalam ho jalwon ki farawani nahin jati

tasawwur se bhi un ki jalwa-samani nahin jati

paDe hain lakh parde phir bhi uryani nahin jati

namaz-e-ashiqi mujh par bala-e-na-gahan guzri

tumhaare aastan tak meri peshani nahin jati

wajud-e-zindagi ek khel hai do-chaar lamhon ka

haqiqat aadmi se us ki pahchani nahin jati

sitaron mein bahaaron mein nazaron mein hazaron mein

wahi to ek surat hai jo pahchani nahin jati

safine aansuon ke tairte rahte hain aankhon mein

kisi surat hamare dil ki tughyani nahin jati

tamanna KHub jaane hai tabassum un ke honTon ka

magar zer-e-tabassum fitna-samani nahin jati

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Us Par Fida Hai Jis Ki Tabani Nahin Jati In English By Famous Poet Hasrat Kamali. Nazar Us Par Fida Hai Jis Ki Tabani Nahin Jati is written by Hasrat Kamali. Read famous Poem Nazar Us Par Fida Hai Jis Ki Tabani Nahin Jati for youth and Student by Hasrat Kamali. Free Download Nazar Us Par Fida Hai Jis Ki Tabani Nahin Jati in PDF.