Aasan-e-haqiqi Hai Na Kuchh Sahal-e-majazi

aasan-e-haqiqi hai na kuchh sahal-e-majazi

malum hui rah-e-mohabbat ki daraazi

kuchh lutf o nazar lazim o malzum nahin hain

ek ye bhi tamanna ki na ho shobada bazi

dil KHub samajhta hai tere harf-e-karam ko

har-chand wo urdu hai na turki hai na tazi

qaim hai na wo husn-e-ruKH-e-yar ka aalam

baqi hai na wo shauq ki hangama-nawazi

ai ishq teri fath bahar-haal hai sabit

mar kar bhi shahidan-e-mohabbat hue ghazi

kar jald hamein KHatm kahin ai gham-e-jaanan

kaam aaegi kis roz teri sina-gudazi

malum hai duniya ko ye 'hasrat' ki haqiqat

KHalwat mein wo mai-KHwar hai jalwat mein namazi

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasan-e-haqiqi Hai Na Kuchh Sahal-e-majazi In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Aasan-e-haqiqi Hai Na Kuchh Sahal-e-majazi is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Aasan-e-haqiqi Hai Na Kuchh Sahal-e-majazi for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Aasan-e-haqiqi Hai Na Kuchh Sahal-e-majazi in PDF.