Aur Bhi Ho Gae Begana Wo Ghaflat Kar Ke

aur bhi ho gae begana wo ghaflat kar ke

aazmaya jo unhen zabt-e-mohabbat kar ke

dil ne chhoDa hai na chhoDe tere milne ka KHayal

bar-ha dekh liya hum ne malamat kar ke

dekhne aae the wo apni mohabbat ka asar

kahne ko ye hai ki aae hain ayaadat kar ke

pasti-e-hausla-e-shauq ki ab hai ye salah

baiTh rahiye gham-e-hijran pe qanaat kar ke

dil ne paya hai mohabbat ka ye aali rutba

aap ke dard-e-dawa-kar ki KHidmat kar ke

ruh ne pai hai taklif-e-judai se najat

aap ki yaad ko sarmaya-e-rahat kar ke

chheD se ab wo ye kahte hain ki sambhlo 'hasrat'

sabr o tab-e-dil-e-bimar ko ghaarat kar ke

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Bhi Ho Gae Begana Wo Ghaflat Kar Ke In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Aur Bhi Ho Gae Begana Wo Ghaflat Kar Ke is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Aur Bhi Ho Gae Begana Wo Ghaflat Kar Ke for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Aur Bhi Ho Gae Begana Wo Ghaflat Kar Ke in PDF.