But-e-be-dard Ka Gham Monis-e-hijran Nikla

but-e-be-dard ka gham monis-e-hijran nikla

dard jaana tha jise hum ne wo darman nikla

aankh jab band hui tab khulin aankhen apni

bazm-e-yaran jise samjhe the wo zindan nikla

hasrat-o-yas ka amboh fughan ki kasrat

main teri bazm se kya ba-sar-o-saman nikla

KHun ho kar to ye dil aankh se barson Tapka

na koi par dil-e-nakaam ka arman nikla

aaina paikar-e-taswir nigah-e-mushtaq

jise dekha teri mahfil mein wo hairan nikla

mujh ko hairat hai hua kya dam-e-ruKHsat hamdam

jaan nikli mere pahlu se ki jaanan nikla

KHub dozaKH ki musibat se bache hum 'hasrat'

is ka darogha wahi yar ka darban nikla

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

But-e-be-dard Ka Gham Monis-e-hijran Nikla In English By Famous Poet Hasrat Mohani. But-e-be-dard Ka Gham Monis-e-hijran Nikla is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem But-e-be-dard Ka Gham Monis-e-hijran Nikla for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download But-e-be-dard Ka Gham Monis-e-hijran Nikla in PDF.