Chupke Chupke Raat Din Aansu Bahana Yaad Hai

chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai

hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai

ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq

tujh se wo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai

bar bar uThna usi jaanib nigah-e-shauq ka

aur tera ghurfe se wo aankhen laDana yaad hai

tujh se kuchh milte hi wo bebak ho jaana mera

aur tera danton mein wo ungli dabana yaad hai

khinch lena wo mera parde ka kona dafatan

aur dupaTTe se tera wo munh chhupana yaad hai

jaan kar sota tujhe wo qasd-e-pa-bosi mera

aur tera Thukra ke sar wo muskurana yaad hai

tujh ko jab tanha kabhi pana to az-rah-e-lihaz

haal-e-dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai

jab siwa mere tumhaara koi diwana na tha

sach kaho kuchh tum ko bhi wo kar-KHana yaad hai

ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke KHilaf

wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai

aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq

wo tera ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai

dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye

wo tera koThe pe nange panw aana yaad hai

aaj tak nazron mein hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaz

apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai

miThi miThi chheD kar baaten nirali pyar ki

zikr dushman ka wo baaton mein uDana yaad hai

dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naz se

jab mana lena to phir KHud ruTh jaana yaad hai

chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah

muddaten guzrin par ab tak wo Thikana yaad hai

shauq mein mehndi ke wo be-dast-o-pa hona tera

aur mera wo chheDna wo gudgudana yaad hai

bawajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe

aaj tak ahd-e-hawas ka wo fasana yaad hai

(1979) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chupke Chupke Raat Din Aansu Bahana Yaad Hai In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Chupke Chupke Raat Din Aansu Bahana Yaad Hai is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Chupke Chupke Raat Din Aansu Bahana Yaad Hai for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Chupke Chupke Raat Din Aansu Bahana Yaad Hai in PDF.