Dekhna Bhi To Unhen Dur Se Dekha Karna

dekhna bhi to unhen dur se dekha karna

shewa-e-ishq nahin husn ko ruswa karna

ek nazar bhi teri kafi thi pa-e-rahat-e-jaan

kuchh bhi dushwar na tha mujh ko shakeba karna

un ko yan wade pe aa lene de ai abr-e-bahaar

jis qadar chahna phir baad mein barsa karna

sham ho ya ki sahar yaad unhin ki rakhni

din ho ya raat hamein zikr unhin ka karna

saum zahid ko mubarak rahe aabid ko salat

aasiyon ko teri rahmat pe bharosa karna

aashiqo husn-e-jafakar ka shikwa hai gunah

tum KHabardar KHabardar na aisa karna

kuchh samajh mein nahin aata ki ye kya hai 'hasrat'

un se mil kar bhi na izhaar-e-tamanna karna

(1462) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhna Bhi To Unhen Dur Se Dekha Karna In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Dekhna Bhi To Unhen Dur Se Dekha Karna is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Dekhna Bhi To Unhen Dur Se Dekha Karna for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Dekhna Bhi To Unhen Dur Se Dekha Karna in PDF.