Hai Mashq-e-suKHan Jari Chakki Ki Mashaqqat Bhi

hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi

ek turfa tamasha hai 'hasrat' ki tabiat bhi

jo chaho saza de lo tum aur bhi khul khelo

par hum se qasam le lo ki ho jo shikayat bhi

dushwar hai rindon par inkar-e-karam yaksar

ai saqi-e-jaan-parwar kuchh lutf-o-inayat bhi

dil bas-ki hai diwana us husn-e-gulabi ka

rangin hai usi ru se shayad gham-e-furqat bhi

KHud ishq ki gustaKHi sab tujh ko sikha degi

ai husn-e-haya-parwar shoKHi bhi shararat bhi

barsat ke aate hi tauba na rahi baqi

baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi

ushshaq ke dil nazuk us shoKH ki KHu nazuk

nazuk isi nisbat se hai kar-e-mohabbat bhi

rakhte hain mere dil par kyun tohmat-e-betabi

yan nala-e-muztar ki jab mujh mein ho quwwat bhi

ai shauq ki bebaki wo kya teri KHwahish thi

jis par unhen ghussa hai inkar bhi hairat bhi

har-chand hai dil shaida hurriyat-e-kaamil ka

manzur-e-dua lekin hai qaid-e-mohabbat bhi

hain 'shad' o 'safi' shair ya 'shauq' o 'wafa' 'hasrat'

phir 'zamin' o 'mahshar' hain 'iqbaal' bhi 'wahshat' bhi

(3043) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Mashq-e-suKHan Jari Chakki Ki Mashaqqat Bhi In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Hai Mashq-e-suKHan Jari Chakki Ki Mashaqqat Bhi is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Hai Mashq-e-suKHan Jari Chakki Ki Mashaqqat Bhi for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Hai Mashq-e-suKHan Jari Chakki Ki Mashaqqat Bhi in PDF.