Pairaw-e-maslak-e-taslim-o-raza Hote Hain

pairaw-e-maslak-e-taslim-o-raza hote hain

hum teri rah-e-mohabbat mein fana hote hain

sharm kar sharm ki ai jazba-e-tasir-e-wafa

tere hathon wo pashiman-e-jafa hote hain

chheDti hai mujhe bebaki-e-KHwahish kya kya

jab kabhi hath wo paband-e-hina hote hain

na asar aah mein kuchh hai na dua mein tasir

tir hum jitne chalate hain KHata hote hain

ahl-e-dil sunte hain ek saz-e-mohabbat ki nawa

hum teri yaad mein jab naghma-sara hote hain

lazzat-e-dard na kyun ahl-e-hawas par ho haram

ki wo kam-baKHt talabgar-e-dawa hote hain

kishwar-e-ishq mein duniya se nirala hai riwaj

kaam jo ban na paDen yan wo rawa hote hain

hech hum samjhe do aalam ko to hairat kya hai

rutbe ushshaq ke is se bhi siwa hote hain

jism hota hai juda jaan se goya 'hasrat'

aasman un se chhuData hai juda hote hain

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pairaw-e-maslak-e-taslim-o-raza Hote Hain In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Pairaw-e-maslak-e-taslim-o-raza Hote Hain is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Pairaw-e-maslak-e-taslim-o-raza Hote Hain for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Pairaw-e-maslak-e-taslim-o-raza Hote Hain in PDF.