Sitam Ho Jae Tamhid-e-karam Aisa Bhi Hota Hai

sitam ho jae tamhid-e-karam aisa bhi hota hai

mohabbat mein bata ai zabt-e-gham aisa bhi hota hai

bhula deti hain sab ranj o alam hairaniyan meri

teri tamkin-e-behad ki qasam aisa bhi hota hai

jafa-e-yar ke shikwe na kar ai ranj-e-nakaami

ummid o yas donon hon baham aisa bhi hota hai

mere pas-e-wafa ki bad-gumani hai ba-ja tum se

kahin be-wajh izhaar-e-karam aisa bhi hota hai

teri dildariyon se surat-e-beganagi nikli

KHushi aisi bhi hoti hai alam aisa bhi hota hai

waqar-e-sabr khoya girya-ha-e-be-qarari ne

kahin ai e'tibar-e-chashm-e-nam aisa bhi hota hai

ba-dawa-e-wafa kyun shikwa-sanj-e-jaur hai 'hasrat'

dayar-e-shauq mein ai mahw-e-gham aisa bhi hota hai

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitam Ho Jae Tamhid-e-karam Aisa Bhi Hota Hai In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Sitam Ho Jae Tamhid-e-karam Aisa Bhi Hota Hai is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Sitam Ho Jae Tamhid-e-karam Aisa Bhi Hota Hai for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Sitam Ho Jae Tamhid-e-karam Aisa Bhi Hota Hai in PDF.