Tere Dard Se Jis Ko Nisbat Nahin Hai

tere dard se jis ko nisbat nahin hai

wo rahat musibat hai rahat nahin hai

junun-e-mohabbat ka diwana hun main

mere sar mein sauda-e-hikmat nahin hai

tere gham ki duniya mein ai jaan-e-alam

koi ruh mahrum-e-rahat nahin hai

mujhe garm-e-nazzara dekha to hans kar

wo bole ki is ki ijazat nahin hai

jhuki hai tere bar-e-irfan se gardan

hamein sar uThane ki fursat nahin hai

ye hai un ke ek ru-e-rangin ka partaw

bahaar-e-tilism-e-latafat nahin hai

tere sarfaroshon mein hai kaun aisa

jise dil se shauq-e-shahadat nahin hai

taghaful ka shikwa karun un se kyunkar

wo kah denge tu be-murawwat nahin hai

wo kahte hain shoKHi se hum dilruba hain

hamein dil nawazi ki aadat nahin hai

shahidan-e-gham hain subuk ruh kya kya

ki us dil pe bar-e-nadamat nahin hai

namuna hai takmil-e-husn-e-suKHan ka

guhar bari-e-taba-e-hasrat nahin hai

(1019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Dard Se Jis Ko Nisbat Nahin Hai In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Tere Dard Se Jis Ko Nisbat Nahin Hai is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Tere Dard Se Jis Ko Nisbat Nahin Hai for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Tere Dard Se Jis Ko Nisbat Nahin Hai in PDF.