Un Ko Jo Shughl-e-naz Se Fursat Na Ho Saki

un ko jo shughl-e-naz se fursat na ho saki

hum ne ye kah diya ki mohabbat na ho saki

shukr-e-jafa bhi ahl-e-raza ne kiya ada

un se yahi nahin ki shikayat na ho saki

shab ka ye haal hai ki teri yaad ke siwa

dil ko kisi KHayal se rahat na ho saki

pa-bos ki bhi hum ko ijazat na de sake

itni bhi tum se qadr-e-mohabbat na ho saki

gharq-e-surur-o-sur mujhe pa ke dafatan

naseh se tark-e-mai ki nasihat na ho saki

KHamoshiyon ka raaz-e-mohabbat wo pa gae

go hum se arz-e-haal ki jurat na ho saki

kar di zaban-e-shauq ne sab sharh-e-arzu

alfaz mein agarche sarahat na ho saki

lutf-e-mazid ki main tamanna to kar saka

tum ye to kah sake ki qanaat na ho saki

kyun itni jald ho gae ghabra ke hum fana

ai dard-e-yar kuchh teri KHidmat na ho saki

waiz ko apne aib-e-riya ka raha KHayal

rindon ki saf saf mazammat na ho saki

arbab-e-qal haal pe ghaalib na aa sake

zahid se aashiqon ki imamat na ho saki

aisa bhi kya itab ki saqi bachi-kuchhi

aaKHir mein kuchh bhi hum ko inayat na ho saki

un se main apne dil ka taqaza na kar saka

ye baat thi KHilaf-e-murawwat na ho saki

kyun aae hosh mein jo ibaadat na kar sake

pir-e-mughan ki hum se itaat na ho saki

'hasrat' teri nigah-e-mohabbat ko kya kahun

mahfil mein raat un se shararat na ho saki

(925) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Ko Jo Shughl-e-naz Se Fursat Na Ho Saki In English By Famous Poet Hasrat Mohani. Un Ko Jo Shughl-e-naz Se Fursat Na Ho Saki is written by Hasrat Mohani. Read famous Poem Un Ko Jo Shughl-e-naz Se Fursat Na Ho Saki for youth and Student by Hasrat Mohani. Free Download Un Ko Jo Shughl-e-naz Se Fursat Na Ho Saki in PDF.