Ru-e-zeba Nazar Nahin Aata

ru-e-zeba nazar nahin aata

apna jina nazar nahin aata

laf-e-ulfat bahut zamane mein

marne wala nazar nahin aata

dard-e-dil ki dawa hai jis ki nazar

wo masiha nazar nahin aata

gul-o-gulshan se kya tasalli ho

gul-e-rana nazar nahin aata

phul buTe bahut hain gulshan mein

sarw-e-baala nazar nahin aata

tab-e-mawwaj ke muqabil ho

aisa dariya nazar nahin aata

jis pe miT jaane ki tamanna hai

wo sarapa nazar nahin aata

chhan Dala jahan us ke liye

nahin aata nazar nahin aata

jis mein wahshat ke hausle niklen

aisa sahra nazar nahin aata

thak gai tare ginte ginte nigah

mah-sima nazar nahin aata

jis mein surat-numa ho naqsh-e-murad

aisa naqsha nazar nahin aata

lakhon jalwa nazar mein hain 'hasrat'

jalwa-farma nazar nahin aata

(601) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ru-e-zeba Nazar Nahin Aata In English By Famous Poet Hasrat Sharvani. Ru-e-zeba Nazar Nahin Aata is written by Hasrat Sharvani. Read famous Poem Ru-e-zeba Nazar Nahin Aata for youth and Student by Hasrat Sharvani. Free Download Ru-e-zeba Nazar Nahin Aata in PDF.