Dariya Ki Taraf Dekh Lo Ek Bar Mere Yar

dariya ki taraf dekh lo ek bar mere yar

ek mauj ki kahti hai mere yar mere yar

virani-e-gulshan pe hi mamur hai mausam

miTTi se nikalte nahin ashjar mere yar

kya KHak kisi ghair pe dil ko ho bharosa

apne bhi hue jate hain aghyar mere yar

maqtal si faza rahti hai is mulk mein har dam

dekhe hain kai manzar-e-KHun-bar mere yar

hum KHak-nashinon ki yahan kaun sunega

unche hain bahut KHwab ke darbar mere yar

dekho ye chalan Thik nahin ishq mein hargiz

wade se mukar jate ho har bar mere yar

do chaar hi alfaz mohabbat se bhare hon

to dasht ko kar dete hain gulzar mere yar

'hassan'-e-jawan KHub teri mashq-e-suKHan hai

har rose kahe jate ho ashaar mere yar

(990) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dariya Ki Taraf Dekh Lo Ek Bar Mere Yar In English By Famous Poet Hassan Ahmad Awan. Dariya Ki Taraf Dekh Lo Ek Bar Mere Yar is written by Hassan Ahmad Awan. Read famous Poem Dariya Ki Taraf Dekh Lo Ek Bar Mere Yar for youth and Student by Hassan Ahmad Awan. Free Download Dariya Ki Taraf Dekh Lo Ek Bar Mere Yar in PDF.