Sar-e-darbar KHamoshi Tah-e-darbar KHushiyan Hain

sar-e-darbar KHamoshi tah-e-darbar KHushiyan hain

dar-o-diwar ki baaten dar-o-diwar KHushiyan hain

tujhe takna tujhe sunna tera hansna machal jaana

hamare gham ke aangan mein faqat do-chaar KHushiyan hain

kai hain dastanen dafn yan yaron ke sine mein

kahin par gham hai KHushiyon mein kahin gham-KHwar KHushiyan hain

amir-e-shahr kya jaane jo guzri hai gharibon par

yahan par gham ke phere hain wahan har bar KHushiyan hain

na jab tak hum samajh paen hamara maqsad-e-taKHliq

jahan mein jo mayassar hon sabhi be-kar KHushiyan hain

baDi mehnat se likkhi hai sar-e-qirtas jo main ne

kahani mein jo rakkhe hain sabhi kirdar KHushiyan hain

jo mujh pe shart ho ahmad main puri kar dikhaunga

sar-e-inkar gumnami pas-e-iqrar KHushiyan hain

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-e-darbar KHamoshi Tah-e-darbar KHushiyan Hain In English By Famous Poet Hassan Ahmad Awan. Sar-e-darbar KHamoshi Tah-e-darbar KHushiyan Hain is written by Hassan Ahmad Awan. Read famous Poem Sar-e-darbar KHamoshi Tah-e-darbar KHushiyan Hain for youth and Student by Hassan Ahmad Awan. Free Download Sar-e-darbar KHamoshi Tah-e-darbar KHushiyan Hain in PDF.