Shishe Ke Muqaddar Mein Badal Kyun Nahin Hota

shishe ke muqaddar mein badal kyun nahin hota

in pattharon ki aankh mein jal kyun nahin hota

qudrat ke usulon mein badal kyun nahin hota

jo aaj hua hai wahi kal kyun nahin hota

har jhil mein pani hai har ek jhil mein lahren

phir sab ke muqaddar mein kanwal kyun nahin hota

jab us ne hi duniya ka ye diwan racha hai

har aadmi pyari si ghazal kyun nahin hota

har bar na milne ki qasam kha ke mile hum

apne hi iradon pe amal kyun nahin hota

har ganw mein mumtaz janam kyun nahin leti

har moD pe ek taj-mahal kyun nahin hota

(1469) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shishe Ke Muqaddar Mein Badal Kyun Nahin Hota In English By Famous Poet Hastimal Hasti. Shishe Ke Muqaddar Mein Badal Kyun Nahin Hota is written by Hastimal Hasti. Read famous Poem Shishe Ke Muqaddar Mein Badal Kyun Nahin Hota for youth and Student by Hastimal Hasti. Free Download Shishe Ke Muqaddar Mein Badal Kyun Nahin Hota in PDF.