Aaftab Ab Nahin Nikalne Ka

aaftab ab nahin nikalne ka

daur aaya sharab Dhalne ka

sanp kahte hain zulf ko shair

kaam karte hain munh kuchalne ka

lakh hum chikni-chupDi baat karen

un ka dil ab nahin phisalne ka

sifat-e-lab mein sher kahte hain

ab irada hai lal ugalne ka

kuTte hain jo apna hum sina

hai ewaz chhatiyan masalne ka

kyun na har tarz mein ho baat nai

pan hai qabu zaban badalne ka

ek bose ki bhi jamae ab

qasd hai un ko missi malne ka

naKHl-e-matam ke sae mein na Thahar

hai musafir jo qasd chalne ka

chashm-poshi se tifl-e-ashk apna

Dhang sikha hai ab machalne ka

hifz-e-tir-e-nigah hai ain KHata

nahin paigham maut Talne ka

hum bhi khela karenge jaan par ab

shaghl achchha hai dil bahalne ka

'mehr' hirba se dosti ta-chand

gham nahin rang ke badalne ka

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaftab Ab Nahin Nikalne Ka In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Aaftab Ab Nahin Nikalne Ka is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Aaftab Ab Nahin Nikalne Ka for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Aaftab Ab Nahin Nikalne Ka in PDF.