Ajab Hai Mehr Se Us ShoKH Ki Visal Ka Waqt

ajab hai 'mehr' se us shoKH ki visal ka waqt

wo dopahar ki jo maKHsus hai zawal ka waqt

meri to KHak bhi tere qadam na chhoDegi

zara tu aane to de apne paemal ka waqt

chaman ki sair hai bulbul paDe chahakti hain

hamare aap ke bhi hai ye bol-chaal ka waqt

karo na zikr raqibon ka mujh se rag na lao

KHata muaf nahin hai ye us KHayal ka waqt

ab un ki chaal qayamat hai kyun na dil pis jae

abhi guzar gaya kabk-e-dari ki chaal ka waqt

masal hai aankh bachi mal doston ka hua

zamana daulat-e-duniya ka hai KHayal ka waqt

kahan ye nok-palak phir kahan ye husn-e-shabab

idhar ko dekho yahi to hai dekh-bhaal ka waqt

duaen denge unhen ye faqir kambal-posh

ilahi dur do-shaale ka howe shaal ka waqt

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab Hai Mehr Se Us ShoKH Ki Visal Ka Waqt In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Ajab Hai Mehr Se Us ShoKH Ki Visal Ka Waqt is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Ajab Hai Mehr Se Us ShoKH Ki Visal Ka Waqt for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Ajab Hai Mehr Se Us ShoKH Ki Visal Ka Waqt in PDF.