Duboegi Buto Ye Jism Dariya-bar Pani Mein

Duboegi buto ye jism dariya-bar pani mein

banegi mauj bhi mere liye zunnar pani mein

ghubar-e-dida-tar se takaddur dil ka zahir hai

tamasha hai uThi miTTi ki ek diwar pani mein

tan-e-be-jaan mein jaan aai hai abru ke ishaare se

bujhi thi chashma-e-haiwan ki ye talwar pani mein

yahi rona hai furqat mein to jaan aankhon se niklegi

hai murgh-e-abi uDne ke liye tayyar pani mein

hamein kya ghair ke kheton pe jo abr-e-karam barsa

na aai apni jaanib to kabhi bauchhaar pani mein

taDapta hun main ro ro ke KHayal-e-mushaf-ruKH mein

ki ghusl-e-irtimasi karte hain din-dar pani mein

mere rone pe wo hanste hain to aghyar jalte hain

tilism-e-taza hai bad-gil hue finnar pani mein

hue gharq-e-araq jo sharm-e-isyan se wo pak uTThe

hua karte hain paida gauhar-e-shahwar pani mein

na hogi aabru-e-arzi to jauhar-e-zati

piyen sone ka pani bhi agar zardar pani mein

jo tu aaina rakh kar samne zewar pahanta hai

teri baali ki machhli tairti hai yar pani mein

sharab-e-nab hai ek qism ka pani hai ai zahid

abas kyun hai tujhe ai na samajh inkar pani mein

latifuttaba juz rahat nahin dete kabhi iza

nahin mumkin ki paida ho chhuri ki dhaar pani mein

bana dete hain dam mein saikDon gumbad hababon ke

KHuda ki shan rahte hain ajab meamar pani mein

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duboegi Buto Ye Jism Dariya-bar Pani Mein In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Duboegi Buto Ye Jism Dariya-bar Pani Mein is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Duboegi Buto Ye Jism Dariya-bar Pani Mein for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Duboegi Buto Ye Jism Dariya-bar Pani Mein in PDF.