Is Daur Mein Har Ek Tah-e-charKH-e-kuhan LuTa

is daur mein har ek tah-e-charKH-e-kuhan luTa

auron ka zar luTa mera naqd-e-suKHan luTa

KHalwat-nashin ho to dil-e-ashiq mein kar jagah

yun daulat-e-jamal na ai sim-tan luTa

bulbul ko kaisi kaisi huin aafaten nasib

gulchin ke dast-e-zulm se kya kya chaman luTa

fariyaad tak KHuda se na ki ai sanam teri

main be-zaban tere yahan ai be-dahan luTa

nabbash ki jafaen huin hum pe baad-e-marg

ai aasman zer-e-zamin bhi kafan luTa

jhonke chale hawa ke pareshan hui wo zulf

KHushbu tamam phaili hai mushk-e-KHutan luTa

'hatim' wo hun ki baad-e-fana dil ko dun salah

ab qabr mein bhi KHak uDaya kafan luTa

be-dil suKHan hun 'mehr' paDhun sinn-e-isawi

auron ka zar luTa mera naqd-e-suKHan luTa

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Daur Mein Har Ek Tah-e-charKH-e-kuhan LuTa In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Is Daur Mein Har Ek Tah-e-charKH-e-kuhan LuTa is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Is Daur Mein Har Ek Tah-e-charKH-e-kuhan LuTa for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Is Daur Mein Har Ek Tah-e-charKH-e-kuhan LuTa in PDF.