Karte Hain Shauq-e-did Mein Baaten Hawa Se Hum

karte hain shauq-e-did mein baaten hawa se hum

jate hain ku-e-yar mein pahle saba se hum

pichhe kahin rahe nahin aah-e-rasa se hum

jate hain ku-e-yar mein pahle saba se hum

iza ki apni fikr karenge dawa se hum

DhunDenge koi maut ka nusKHa shifa se hum

zahid bura na manenge is bad-dua se hum

hon but-parast chahte hain ye KHuda se hum

uljhenge ek bar to zulf-e-dota se hum

saudai hun saDi hun tumhaari bala se hum

tegh-e-nigah na tir-e-mizha ne kiya halak

han mar gae hain aap hi apni qaza se hum

na-qadr se hi qadr ki ummid hai abas

o be-wafa KHajil hue apni wafa se hum

ghar ja ke un ke rog laga lae ishq ka

bimar ho ke aae hain darushshifa se hum

aab-e-hayat KHizr-o-sikandar ko chahiye

saqi faqat sharab ke hain ek piya se hum

bole masih dekh ke bimar-e-ishq ko

majbur hain isi maraz-e-la-dawa se hum

jheli hui hain ishq mein lakhon musibaten

Darte nahin hai aap ke jaur-o-jafa se hum

ghar mein huzur ke hamein sona nasib ho

aae hain mal marne daulat-sara se hum

gulzar hai shahidon ka jannat ka ham-sawad

jaenge to na aaenge phir karbala se hum

qismat ka apni pech hua gesuon ka pech

badlen siyah tale-e-zill-e-huma se hum

dil mein tere asar na hua arsh hil gaya

nadim hain na-rasai-e-ah-e-rasa se hum

achchha hua na dafn hui nash baad-e-marg

kya musht-e-ustuKHwan ko chhupate huma se hum

sote nahin hain raat ko bhi hum to chain se

karte hain 'mehr' uns jo ek mah-laqa se hum

(940) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karte Hain Shauq-e-did Mein Baaten Hawa Se Hum In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Karte Hain Shauq-e-did Mein Baaten Hawa Se Hum is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Karte Hain Shauq-e-did Mein Baaten Hawa Se Hum for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Karte Hain Shauq-e-did Mein Baaten Hawa Se Hum in PDF.