Sath Mein Aghyar Ke Main Bhi Saf-e-maqtal Mein Hun

sath mein aghyar ke main bhi saf-e-maqtal mein hun

surat-e-tarkib-e-mauzun misra-e-mohmal mein hun

mujh sa rangin-taba hai tira-darunon mein KHarab

main sharab-e-arghawani hun magar botal mein hun

gand-ha-e-na-tarashida hain hum sohbat meri

in dinon to main bhi KHushbu ki tarah sandal mein hun

aadmi be-his-o-mas main surat-e-mardum giyah

shahr mein hun main ilahi ya kisi jangal mein hun

parda-dar-e-girya-e-be-iKHtiyari faqr hai

barq hai abr-e-siyah mein aur main kammal mein hun

hasil-e-neki hun nekon ko badon ko bad hun 'mehr'

mera hi partaw anat mein hai main hi hanzal mein hun

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sath Mein Aghyar Ke Main Bhi Saf-e-maqtal Mein Hun In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Sath Mein Aghyar Ke Main Bhi Saf-e-maqtal Mein Hun is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Sath Mein Aghyar Ke Main Bhi Saf-e-maqtal Mein Hun for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Sath Mein Aghyar Ke Main Bhi Saf-e-maqtal Mein Hun in PDF.