Warid Koh-e-bayaban Jab Mein Diwana Hua

warid koh-e-bayaban jab mein diwana hua

kohkan se dosti majnun se yarana hua

wahshat-afza kis qadar apna bhi afsana hua

mera qissa sunte sunte qais diwana hua

KHar-e-sahra par KHiraman jab main diwana hua

KHun-e-pa se rashk-e-paen bagh virana hua

aankh nargis se laDa kar aashna hi andalib

ai gul-e-tar ek main aur sabza begana hua

pahniye kafni qanaat hai libas faqir mein

kab tabdil us ko shakl raKHt-e-shahana hua

kal wahan par howega gor-e-ghariban ka maqam

aaj jis ja par bana qasr-e-amirana hua

baiat-e-daste-subu ka pas pyala pi liya

tak ka shajara mila mashrab bhi rindana hua

sham-e-kaukal dekhte hi anjuman mein phaTak gaya

ek jale tan aashiqon mein hum sa parwana hua

Tal gai sar se bala apna muqaddar khul gaya

mu-e-sar mein aaj dast-e-yar ka shana hua

ab kahin koi Thikana hi nahin juz ku-e-yar

murtad-e-kaba hua mardud-e-but-KHana hua

jam-e-kausar saqi-e-kausar bhi denge hashr mein

dast-e-saqi se inayat mujh ko paimana hua

kohr ki qutuben hain ai mah teri tasbih mein

kaukab-e-sayyara san raushan har ek dana hua

kaun aisa hai jo mujh bekas ki dildari kare

darpa-e-jaan dost dushman apna begana hua

KHub hi pakDe ye kafir bhi bala ki sanp the

panja-e-afsun-gar ka zulfon mein teri shana hua

tum bata do kis jagah rakhe hain dil ushshaq ke

DhunDh lunga aap mera dil hi pahchana hua

sozan-e-isa ne us ke panw ke moze siye

panja-e-KHurshid hazir le ke dastana hua

chahta hun apni zanjiren junun ke josh mein

rizq mere waste zanjir ka dana hua

dar-ba-dar mara phira main justuju-e-yar mein

zahid-e-kaba hua rahban-e-but-KHana hua

nam par mujh baada-kash ke sad chashm-e-mast hai

nama-e-amal mera KHat paimana hua

mere ghar aaya hai mere sher sunne ko wo 'mehr'

ghairat-e-baitushsharaf apna bhi kashana hua

(1017) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Warid Koh-e-bayaban Jab Mein Diwana Hua In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Warid Koh-e-bayaban Jab Mein Diwana Hua is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Warid Koh-e-bayaban Jab Mein Diwana Hua for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Warid Koh-e-bayaban Jab Mein Diwana Hua in PDF.