Hum Ko Ab Bhi Nahr Par Ja Kar Nahana Yaad Hai

hum ko ab bhi nahr par ja kar nahana yaad hai

hath mein kapDe uTha kar bhag jaana yaad hai

khinchna kursi ka apna un ka girna shan se

master ka phir hamein murgha banana yaad hai

sainDilon aur jhaDuon se rose mujh ko jhaDna

mujh se jaanan pyar tera walehana yaad hai

teri surat dekhte hi mera Dar kar chiKHna

aur tera phir Darana phir Darana yaad hai

(850) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Hum Ko Ab Bhi Nahr Par Ja Kar Nahana Yaad Hai In English By Famous Poet Hatim Bhatti. Hum Ko Ab Bhi Nahr Par Ja Kar Nahana Yaad Hai is written by Hatim Bhatti. Read famous Poem Hum Ko Ab Bhi Nahr Par Ja Kar Nahana Yaad Hai for youth and Student by Hatim Bhatti. Free Download Hum Ko Ab Bhi Nahr Par Ja Kar Nahana Yaad Hai in PDF.