Dastan-e-fitrat Hai Zarf Ki Kahani Hai

dastan-e-fitrat hai zarf ki kahani hai

jitna uthla dariya hai utna tez pani hai

jin labon ne sincha hai tishnagi ke KHaron ko

ab unhin ke hisse mein jam-e-kaamrani hai

phir se khulne wala hai koi taza gul shayad

baghban ki phir hum par KHasi mehrbani hai

aql kab se bhaTke hai nafraton ki wadi mein

pyar ki magar ab bhi dil pe hukmarani hai

zaKHm khate rahte hain muskuraate rahte hain

hum wafa-shanason ki ye ada purani hai

barf ban gae arman munjamid hue jazbe

zist ke samundar mein kitna sard pani hai

apne sae se hum KHud ai hayat Darte hain

maslahat ki duniya mein kitni bad-gumani hai

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dastan-e-fitrat Hai Zarf Ki Kahani Hai In English By Famous Poet Hayat Warsi. Dastan-e-fitrat Hai Zarf Ki Kahani Hai is written by Hayat Warsi. Read famous Poem Dastan-e-fitrat Hai Zarf Ki Kahani Hai for youth and Student by Hayat Warsi. Free Download Dastan-e-fitrat Hai Zarf Ki Kahani Hai in PDF.