Ye Visal O Hijr Ka Masala To Meri Samajh Mein Na Aa Saka

ye visal o hijr ka masala to meri samajh mein na aa saka

kabhi koi mujh ko na pa saka kabhi main kisi ko na pa saka

kai bastiyon ko ulaT chuka koi tab is ki na la saka

magar aandhiyon ka ye silsila tera naqsh-e-pa na miTa saka

meri dastan bhi ajib hai wo qadam qadam mere sath tha

jise raaz-e-dil na bata saka jise dagh-e-dil na dikha saka

na hi bijliyan na hi barishen na hi dushmanon ki wo sazishen

bhala kya sabab hai bata zara jo tu aaj bhi nahin aa saka

kabhi raushni ki talab rahi kabhi hauslon ki kami rahi

main charagh ko tere nam ke na jala saka na bujha saka

wo jo aks rang-e-'hilal' thi wo jo aap apni misal thi

mujhe aaj tak hai KHalish yahi tujhe wo ghazal na suna saka

(1238) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Visal O Hijr Ka Masala To Meri Samajh Mein Na Aa Saka In English By Famous Poet Hilal Fareed. Ye Visal O Hijr Ka Masala To Meri Samajh Mein Na Aa Saka is written by Hilal Fareed. Read famous Poem Ye Visal O Hijr Ka Masala To Meri Samajh Mein Na Aa Saka for youth and Student by Hilal Fareed. Free Download Ye Visal O Hijr Ka Masala To Meri Samajh Mein Na Aa Saka in PDF.