Is Dasht Pe Ehsan Na Kar Ai Abr-e-rawan Aur

is dasht pe ehsan na kar ai abr-e-rawan aur

jab aag ho nam-KHurda to uThta hai dhuan aur

wo qahat-e-junun hai ki koi chaak gareban

aata hai nazar bhi to guzarta hai guman aur

ye sang-zani mere liye barish-e-gul hai

thak jao to kuchh sang ba-dast-e-digran aur

suraj ko ye gham hai ki samundar bhi hai payab

ya rab mere qulzum mein koi sail-e-rawan aur

'shair' ye zamin hazrat-e-ghaalib ki zamin hai

har sher talab karta hai KHun-e-rag-e-jaan aur

(1173) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Dasht Pe Ehsan Na Kar Ai Abr-e-rawan Aur In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Is Dasht Pe Ehsan Na Kar Ai Abr-e-rawan Aur is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Is Dasht Pe Ehsan Na Kar Ai Abr-e-rawan Aur for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Is Dasht Pe Ehsan Na Kar Ai Abr-e-rawan Aur in PDF.