Aaina-dar-aina

is bar wo mila to ajab us ka rang tha

alfaz mein tarang na lahja dabang tha

ek soch thi ki bikhri hui KHal-o-KHat mein thi

ek dard tha ki jis ka shahid ang ang tha

ek aag thi ki rakh mein poshida thi kahin

ek jism tha ki ruh se masruf-e-jang tha

main ne kaha ki yar tumhein kya hua hai ye

us ne kaha ki umr-e-rawan ki ata hai ye

main ne kaha ki umr-e-rawan to sabhi ki hai

us ne kaha ki fikr-o-nazar ki saza hai ye

main ne kaha ki sochta rahta to main bhi hun

us ne kaha ki aaina rakkha hua hai

dekha to mera apna hi aks-e-jali tha wo

wo shaKHs main tha aur 'himayat-ali' tha wo

(1281) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina-dar-aina In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Aaina-dar-aina is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Aaina-dar-aina for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Aaina-dar-aina in PDF.