Muddat Ke Baad

muddat ke baad tum se mila hun to ye khula

ye waqt aur fasla dhoka nazar ka tha

chehre pe umr bhar ki masafat raqam sahi

dil ke liye tamam safar lamha bhar ka tha

kaisi ajib saat-e-didar hai ki hum

phir yun mile ki jaise kabhi dur hi na the

aankhon mein kam-sini ke wo sab KHwab jag uThe

jin mein nigah o dil kabhi majbur hi na the

masum kis qadar thin wo be-nam chahaten

bachpan se ham-kanar tha ahd-e-shabab bhi

yun aatish-e-badan mein thi shabnam ghuli hui

mahtab se ziyaada na tha aaftab bhi

phir wo hawa chali ki sabhi kuchh bikhar gaya

wo mahfilen wo dost wo gul-rang qahqahe

ab raqs-e-gard-baad ki surat hai zindagi

ye waqt ka azab kahan tak koi sahe

ab tum milin to kitne hi gham hain tumhaare sath

patthar ki tarah tum ne gizari hai zindagi

kitna lahu jalaya to ye phul muskurae

kis kis jatan se tum ne sanwari hai zindagi

main ne bhi ek johd-e-musalsal mein kaT di

wo umr thi jo phul se arman liye hue

ab wo junun raha hai na wo mausam-e-bahaar

baiTha hun apna chaak-e-gireban siye hue

ab apne apne KHun ki amanat hai aur hum

aur in amanaton ki hifazat ke KHwab hain

aankhon mein koi pyas ho dil mein koi taDap

phaile hue ufuq se ufuq tak sarab hain

kis ko KHabar thi lamha ek aisa bhi aaega

mazi tamam phir simaT aaega haal mein

mahsus ho raha hai ki guzra nahin hai waqt

ek lamha baT gaya tha faqat mah o sal main

tum bhi wahi ho main bhi wahi waqt bhi wahi

han ek bujhi bujhi si chamak chashm-e-nam mein hai

ye lamha jis ke sehr mein khoe hue hain hum

kitni masarraton ka surur is ke gham mein hai

(1053) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddat Ke Baad In English By Famous Poet Himayat Ali Shayar. Muddat Ke Baad is written by Himayat Ali Shayar. Read famous Poem Muddat Ke Baad for youth and Student by Himayat Ali Shayar. Free Download Muddat Ke Baad in PDF.