Kahin Pe Mal-o-duniya Ki KHaridar Ki Baaten Hain

kahin pe mal-o-duniya ki KHaridar ki baaten hain

kahin pe din-ba-din baDhti riya-kari ki baaten hain

bhare bazar mein sach ki dukanon par hai sannaTa

tijarat jhuT ki chamki hai makkari ki baaten hain

kahin roze pe roze sirf pani pi ke khulte hain

kahin bas nam pe rozon ke iftari ki baaten hain

kahin khana hi khana hai magar pine se kab fursat

kahin pe bhuk ki basti mein bimari ki baaten hain

zamane aur the wo jin mein kuchh darwesh hote the

nae is daur mein har samt bad-kari ki baaten hain

wafa isar qurbani wahan ab log kya jaanen

jahan nilam hote zarf-o-KHuddari ki baaten hain

kabhi mazhab tha dil mein ab hai daulat ki panahon mein

KHuda ka nam le kar bhi gunahgari ki baaten hain

kisi ke zaKHm pe marham 'hina' rakhta nahin koi

namak lahjon ne ghola qalb-azari ki baaten hain

(939) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Pe Mal-o-duniya Ki KHaridar Ki Baaten Hain In English By Famous Poet Hina Haider. Kahin Pe Mal-o-duniya Ki KHaridar Ki Baaten Hain is written by Hina Haider. Read famous Poem Kahin Pe Mal-o-duniya Ki KHaridar Ki Baaten Hain for youth and Student by Hina Haider. Free Download Kahin Pe Mal-o-duniya Ki KHaridar Ki Baaten Hain in PDF.