Talluq Ki Nai Ek Rasm Ab Ijad Karna Hai

talluq ki nai ek rasm ab ijad karna hai

na us ko bhulna hai aur na us ko yaad karna hai

zabanen kaT gain to kya salamat ungliyan to hain

dar o diwar pe likh do tumhein fariyaad karna hai

sitara KHush-gumani ka sajaya hai hatheli par

kisi surat hamein to apne dil ko shad karna hai

bana kar ek ghar dil ki zamin par us ki yaadon ka

kabhi aabaad karna hai kabhi barbaad karna hai

taqaza waqt ka ye hai na pichhe muD ke dekhen hum

so hum ko waqt ke is faisle par sad karna hai

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talluq Ki Nai Ek Rasm Ab Ijad Karna Hai In English By Famous Poet Humaira Rahat. Talluq Ki Nai Ek Rasm Ab Ijad Karna Hai is written by Humaira Rahat. Read famous Poem Talluq Ki Nai Ek Rasm Ab Ijad Karna Hai for youth and Student by Humaira Rahat. Free Download Talluq Ki Nai Ek Rasm Ab Ijad Karna Hai in PDF.