Hawa Ki Tez-gamiyon Ka Inkishaf Kya Karen

hawa ki tez-gamiyon ka inkishaf kya karen

jo dosh par liye ho us ke bar-KHilaf kya karen

yaqin aur guman ki jang se gurez tha nahin

jo faisla kiya hai us se inhiraf kya karen

wo dusron ki aankh ka ghubar to liye rahe

to apne gard gard aaine ko saf kya karen

jo manzilen dikhai thin wo mumkinat mein se thin

par apni himmaton ki barf mein shigaf kya karen

'humaira' e'timad ka pahaD Dher ho gaya

aur ab bhi sochte hain un se iKHtilaf kya karen

(1094) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ki Tez-gamiyon Ka Inkishaf Kya Karen In English By Famous Poet Humaira Rahman. Hawa Ki Tez-gamiyon Ka Inkishaf Kya Karen is written by Humaira Rahman. Read famous Poem Hawa Ki Tez-gamiyon Ka Inkishaf Kya Karen for youth and Student by Humaira Rahman. Free Download Hawa Ki Tez-gamiyon Ka Inkishaf Kya Karen in PDF.