Log To Ek Manzar Hain TaKHt-nashinon Ki KHatir

log to ek manzar hain taKHt-nashinon ki KHatir

farsh bichhaya jata hai qalinon ki KHatir

kitni be-tartibi phaili kya kuchh TuT gaya

saje-sajae ghar the unhi makinon ki KHatir

Thahar gae hain ain safar mein bin soche-samjhe

ham-safari ke kuchh be-nam qarinon ki KHatir

jal bujhte hain log kisi ko faiz pahunchne par

gir jate hain kuchh be-mani zinon ki KHatir

hum aur tum jo badal gae to itni hairat kya

aks badalte rahte hain aainon ki KHatir

unche dam lage hain humaira kore jazbon ke

sauda bura nahin hai chand mashinon ki KHatir

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Log To Ek Manzar Hain TaKHt-nashinon Ki KHatir In English By Famous Poet Humaira Rahman. Log To Ek Manzar Hain TaKHt-nashinon Ki KHatir is written by Humaira Rahman. Read famous Poem Log To Ek Manzar Hain TaKHt-nashinon Ki KHatir for youth and Student by Humaira Rahman. Free Download Log To Ek Manzar Hain TaKHt-nashinon Ki KHatir in PDF.