Jaise Jaise Dard Ka Pindar BaDhta Jae Hai

jaise jaise dard ka pindar baDhta jae hai

e'timad-e-lazzat-e-azar baDhta jae hai

dil umaDta aae hai miTTi hui jati hai nam

zindagi par zindagi ka bar baDhta jae hai

ye na puchho dekhta jata hai muD muD kar kise

ek diwana ki su-e-dar baDhta jae hai

kuchh na kuchh hona hai aaKHir tap ke kundan jal ke rakh

dil ki jaanib shoala-e-afkar baDhta jae hai

aagahi ka sadqa wajib hai uThao jam-e-zahr

lamha lamha waqt ka israr baDhta jae hai

saKHti-e-rah-e-talab se dil larazta hai magar

mujh se aage jazba-e-bedar baDhta jae hai

rafta rafta soz-e-hirman hota jata hai fuzun

rafta rafta zindagi se pyar baDhta jae hai

ye jahan-e-ab-o-gil hai imtihan-gah-e-shuur

gham ba-qadr-e-azmat-e-kirdar baDhta jae hai

kya KHabar 'hurmat' ki takmil-e-safar ho kis tarah

iltifat-e-wadi-e-pur-KHar baDhta jae hai

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaise Jaise Dard Ka Pindar BaDhta Jae Hai In English By Famous Poet Hurmatul Ikaram. Jaise Jaise Dard Ka Pindar BaDhta Jae Hai is written by Hurmatul Ikaram. Read famous Poem Jaise Jaise Dard Ka Pindar BaDhta Jae Hai for youth and Student by Hurmatul Ikaram. Free Download Jaise Jaise Dard Ka Pindar BaDhta Jae Hai in PDF.