Rah-e-talab Mein BaDi Turfagi Ke Sath Chale

rah-e-talab mein baDi turfagi ke sath chale

kisi ke sath na the aur sabhi ke sath chale

na ham-safar koi paya na rahbar chaha

wo rah-rau hain ki hum zindagi ke sath chale

fareb KHud ko diye aur KHud hi pachhtae

kisi ka jo na hua hum usi ke sath chale

kaho ki hoti hai ek chiz sar-bulandi bhi

kaha ye kis ne ki hum sar-kashi ke sath chale

rahe sharik-e-safar e'timad-e-ham-qadmi

ye kya zarur hai koi kisi ke sath chale

shikasta-pa hi sahi rahrawan-e-dard magar

ye kam nahin ki salamat-rawi ke sath chale

KHud apna soz-e-talab de sake na jis ka sath

dayar-e-gham mein wo kis raushni ke sath chale

ye kah ke ho gae KHud se bhi hum juda 'hurmat'

safar mein kaun kisi ajnabi ke sath chale

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-talab Mein BaDi Turfagi Ke Sath Chale In English By Famous Poet Hurmatul Ikaram. Rah-e-talab Mein BaDi Turfagi Ke Sath Chale is written by Hurmatul Ikaram. Read famous Poem Rah-e-talab Mein BaDi Turfagi Ke Sath Chale for youth and Student by Hurmatul Ikaram. Free Download Rah-e-talab Mein BaDi Turfagi Ke Sath Chale in PDF.