Tai Kiya Is Tarah Safar Tanha

tai kiya is tarah safar tanha

ek hum ek rahguzar tanha

kaun hota rafiq-e-tira-shabi

dil jalaya hai ta-sahar tanha

KHairiyat puchhne ko aai hai

zindagi mujh ko dekh kar tanha

aafat-e-jaan hai waz-e-ham-safari

waqt ki rah se guzar tanha

dhaDkanon ka bhi hai ajab andaz

dil ki wadi hai kis qadar tanha

na mila dard-ashna koi

kaT gaya dard ka safar tanha

dasht mein apni hi tajalli ke

jhilmilaya kiya qamar tanha

saaten deti hi rahin aawaz

zindagi chal paDi kidhar tanha

qatl-gah-e-wafa mili KHali

'hurmat' aae hamin nazar tanha

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tai Kiya Is Tarah Safar Tanha In English By Famous Poet Hurmatul Ikaram. Tai Kiya Is Tarah Safar Tanha is written by Hurmatul Ikaram. Read famous Poem Tai Kiya Is Tarah Safar Tanha for youth and Student by Hurmatul Ikaram. Free Download Tai Kiya Is Tarah Safar Tanha in PDF.