Mar-miTe Jab Se Hum Us Dushman-e-din Par Sahab

mar-miTe jab se hum us dushman-e-din par sahab

panw Tikte hi nahin apne zamin par sahab

KHush-gumani ka ye aalam hai ki har baat ke bich

han ka dhoka ho hamein us ki nahin par sahab

taKHt yaron ko hai gham shah ki mazuli ka

aur fida bhi hain nae taKHt-nashin par sahab

hum to ek sanwli surat hai jise chahte hain

aap mar jaen kisi mah-jabin par sahab

husn rangon ke tasadum se jila pata hai

jaise ek KHal kisi ru-e-hasin par sahab

hum wo majruh-e-ziyarat ki sar-e-mahfil bhi

aankh rakhte hain usi parda-nashin par sahab

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mar-miTe Jab Se Hum Us Dushman-e-din Par Sahab In English By Famous Poet Husain Majrooh. Mar-miTe Jab Se Hum Us Dushman-e-din Par Sahab is written by Husain Majrooh. Read famous Poem Mar-miTe Jab Se Hum Us Dushman-e-din Par Sahab for youth and Student by Husain Majrooh. Free Download Mar-miTe Jab Se Hum Us Dushman-e-din Par Sahab in PDF.