Itni Si Is Jahan Ki Haqiqat Hai Aur Bas

itni si is jahan ki haqiqat hai aur bas

guftar zer-e-lab hai samaat hai aur bas

kyun aashna-e-chashm ho didar-e-husn ka

ye girya-azmai to aadat hai aur bas

itne se jurm par to na mujh ko tabah rakh

thoDi si mujh mein teri shabahat hai aur bas

us ko jaza saza ke marahil mein de diya

jis pas ek umr ki mohlat hai aur bas

aaya jo daur-e-dasht achanak hi samne

aisa laga ki teri ijazat hai aur bas

hum ne kaha ki KHatm hue sab muamalat

dil ne kaha ki kya hai? qayamat hai! aur bas

aaina-dar hon ki tera parda-dar hon

pesh-e-nigah teri mohabbat hai aur bas

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itni Si Is Jahan Ki Haqiqat Hai Aur Bas In English By Famous Poet Husain Sahar. Itni Si Is Jahan Ki Haqiqat Hai Aur Bas is written by Husain Sahar. Read famous Poem Itni Si Is Jahan Ki Haqiqat Hai Aur Bas for youth and Student by Husain Sahar. Free Download Itni Si Is Jahan Ki Haqiqat Hai Aur Bas in PDF.