Mahaul Se Jaise Ki GhuTan Hone Lagi Hai

mahaul se jaise ki ghuTan hone lagi hai

be-kaifiyati uzw-e-badan hone lagi hai

kuchh farq sa mahsus nahin sham-o-sahar mein

uThne ke tasawwur se thakan hone lagi hai

mafqud hui KHunki-e-ehsas nazar se

sabzon ko bhi dekhe se jalan hone lagi hai

kuchh us se gila bhi hai kuchh apni bhi KHataen

yun us ke tasawwur se chubhan hone lagi hai

hassas bhi imroz tabiat se zyaada

aur tez bhi kuchh bu-e-saman hone lagi hai

pahle bhi teri baat hi markaz thi suKHan ka

ab yaad teri sarf-e-suKHan hone lagi hai

ai 'taj' tere ek nasheman ke hasad mein

aa dekh ki taKHrib-e-chaman hone lagi hai

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahaul Se Jaise Ki GhuTan Hone Lagi Hai In English By Famous Poet Husain Taj Rizvi. Mahaul Se Jaise Ki GhuTan Hone Lagi Hai is written by Husain Taj Rizvi. Read famous Poem Mahaul Se Jaise Ki GhuTan Hone Lagi Hai for youth and Student by Husain Taj Rizvi. Free Download Mahaul Se Jaise Ki GhuTan Hone Lagi Hai in PDF.