Ghum Raha Hai Pit Ka Pyasa

dekh to gori kise pukare

basti basti dware dware

bar mein jholi hath mein kasa

ghum raha hai pit ka pyasa

dil mein aag dabi hai Darna

aankhon mein ashkon ka jharna

lab par dard ka bara-masa

ghum raha hai pit ka pyasa

kanTon se chhalni hain panw

dhup mili chehre par chhanw

aas mili aankhon mein nirasa

ghum raha hai pit ka pyasa

baat hamari man ke gori

sab duniya se chori chori

ghunghaT ka paT khol zara sa

ghum raha hai pit ka pyasa

surat hai 'insha'-ji ki si

baal pareshan aankhen nichi

nam bhi kuchh 'insha'-ji ka sa

ghum raha hai pit ka pyasa

soch nahin sajan ko bula le

aage baDh sine se laga le

tujh-bin de ise kaun dilasa

ghum raha hai pit ka pyasa

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghum Raha Hai Pit Ka Pyasa In English By Famous Poet Ibn E Insha. Ghum Raha Hai Pit Ka Pyasa is written by Ibn E Insha. Read famous Poem Ghum Raha Hai Pit Ka Pyasa for youth and Student by Ibn E Insha. Free Download Ghum Raha Hai Pit Ka Pyasa in PDF.