Kar Bura To Bhala Nahin Hota

kar bura to bhala nahin hota

kar bhala to bura nahin hota

ek wahi lapata nahin hota

jis ko apna pata nahin hota

sab nishane agar sahih hote

tir koi KHata nahin hota

kaun aashiq hai kaun hai mashuq

pyar mein faisla nahin hota

koi aisi jagah hi dikhlao

jis jagah par KHuda nahin hota

kucha-e-yar jo na jata ho

rasta rasta nahin hota

kaamyabi ke raston ki taraf

bich ka rasta nahin hota

sari duniya to ho gai meri

ek faqat tu mera nahin hota

dil nazar par agar nazar rakhte

pyar ka hadsa nahin hota

jab talak tu na ho KHayalon mein

koi sajda rawa nahin hota

us ki maKHmur aankh ke aage

mai-kada mai-kada nahin hota

koshishen KHud hi karna paDti hain

bhiD mein rasta nahin hota

ek arsa hua ki nind se bhi

aamna-samna nahin hota

pyar ho jae kab kahan kis se

ye kisi ko pata nahin hota

hum ne dekha hai ru-ba-ru un ke

aaina aaina nahin hota

sadqa KHairaat kijiye sahab

muskurana bura nahin hota

kya karamat bhi ab nahin hogi

mana ab moajaza nahin hota

hath mushkil mein chhoD jate ho

ye to phir thamna nahin hota

pahle nazren aTuT thin aur ab

hath dil se juda nahin hota

'mufti' hum hi bhanwar-nasib rahe

warna sahil pe kya nahin hota

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kar Bura To Bhala Nahin Hota In English By Famous Poet Ibn-e-Mufti. Kar Bura To Bhala Nahin Hota is written by Ibn-e-Mufti. Read famous Poem Kar Bura To Bhala Nahin Hota for youth and Student by Ibn-e-Mufti. Free Download Kar Bura To Bhala Nahin Hota in PDF.