BaDe Ghazab Ka Hai Yaro BaDe Azab Ka ZaKHm

baDe ghazab ka hai yaro baDe azab ka zaKHm

agar shabab hi Thahra mere shabab ka zaKHm

zara si baat thi kuchh aasman na phaT paDta

magar hara hai abhi tak tere jawab ka zaKHm

zamin ki kokh hi zaKHmi nahin andheron se

hai aasman ke bhi sine pe aaftab ka zaKHm

main sangsar jo hota to phir bhi KHush rahta

khaTak raha hai magar dil mein ek gulab ka zaKHm

usi ki chaaragari mein guzar gai 'asrar'

tamam umr ko kafi tha ek shabab ka zaKHm

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDe Ghazab Ka Hai Yaro BaDe Azab Ka ZaKHm In English By Famous Poet Ibn-e-Safi. BaDe Ghazab Ka Hai Yaro BaDe Azab Ka ZaKHm is written by Ibn-e-Safi. Read famous Poem BaDe Ghazab Ka Hai Yaro BaDe Azab Ka ZaKHm for youth and Student by Ibn-e-Safi. Free Download BaDe Ghazab Ka Hai Yaro BaDe Azab Ka ZaKHm in PDF.