Kuchh Bhi To Apne Pas Nahin Juz-mata-e-dil

kuchh bhi to apne pas nahin juz-mata-e-dil

kya is se baDh ke aur bhi koi hai imtihan

likhne ko likh rahe hain ghazab ki kahaniyan

likkhi na ja saki magar apni hi dastan

dil se dimagh o halqa-e-irfan se dar tak

hum KHud ko DhunDte hue pahunche kahan kahan

us bewafa pe bas nahin chalta to kya hua

uDti rahengi apne gareban ki dhajjiyan

hum KHud hi karte rahte hain fitnon ki parwarish

aati nahin hai koi bala hum pe na-gahan

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bhi To Apne Pas Nahin Juz-mata-e-dil In English By Famous Poet Ibn-e-Safi. Kuchh Bhi To Apne Pas Nahin Juz-mata-e-dil is written by Ibn-e-Safi. Read famous Poem Kuchh Bhi To Apne Pas Nahin Juz-mata-e-dil for youth and Student by Ibn-e-Safi. Free Download Kuchh Bhi To Apne Pas Nahin Juz-mata-e-dil in PDF.