Kisi Ki Sada
raat ke pur-kaif sannaTe mein bansi ki sada
chandni ke sim-gun shane pe lahraati hui
gunjti baDhti larazti kohsaron ke qarib
phailti maidan mein pagDanDi pe bal khati hui
aa rahi hai is tarah jaise kisi ki yaad aae
nind mein Dubi hui palkon ko uksati hui
aasmanon mein zamin ka git lahrane laga
chha gaya hai chand ke chehre pe KHiffat ka ghubar
bazm-e-anjum ki har ek tanwir dhundli ho gai
rakh diya nahid ne jhunjhla ke hathon se sitar
zarra zarra jhum kar lene laga angDaiyan
kahkashan takne lagi hairat se su-e-ju-e-bar
yun fazaon mein rawan hai ye sada-e-dil-nashin
zehn-e-shair mein ho jaise ek achhuta sa KHayal
ya sahar ke sim-gun ruKHsar par pahli kiran
surKH honTon se bichhae jis tarah boson ke jal
gah thamti gah sannaTe ka sina chirti
yun faza mein uTh ke ho jati hai maddham hae hae
sham ki dhundhlahaTon mein dur koi karwan
kohsaron se utar kar jaise maidanon mein aae
(2458) Peoples Rate This