Main Wo Nahin Ki Zamane Se Be-amal Jaun

main wo nahin ki zamane se be-amal jaun

mizaj puchh ke dar-o-rasan ka Tal jaun

wo aur honge jo hain aaj qaid-e-be-samti

wahi hai samt mein jis samt ko nikal jaun

fareb kha ke junun aql ke khilaunon se

KHuda wo waqt na lae ki main bahal jaun

mera wajud hai momi kahin na ho aisa

kisi ki yaad ki garmi se main pighal jaun

jo chahta hai ki pasti mein girte girte bachun

nazar ka apni asa de ki main sambhal jaun

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Wo Nahin Ki Zamane Se Be-amal Jaun In English By Famous Poet Ibraheem Hosh. Main Wo Nahin Ki Zamane Se Be-amal Jaun is written by Ibraheem Hosh. Read famous Poem Main Wo Nahin Ki Zamane Se Be-amal Jaun for youth and Student by Ibraheem Hosh. Free Download Main Wo Nahin Ki Zamane Se Be-amal Jaun in PDF.