Ana Ne TuT Ke Kuchh Faisla Kiya Hi Nahin

ana ne TuT ke kuchh faisla kiya hi nahin

bayan apna kabhi muddaa kiya hi nahin

har ek shaKHs ko insan hi rakha hum ne

ki aadmi ko nazar mein KHuda kiya hi nahin

bas ek bar hi toDa jahan ne ahd-e-wafa

kisi se hum ne phir ahd-e-wafa kiya hi nahin

kai dishaon se guzra hai karwan-e-hayat

Thahar ke dil ko kahin mubtala kiya hi nahin

pahaD zulm-o-sitam ke hansi mein kaT diye

ada-e-naz ki koi gila kiya hi nahin

chhua jise bhi wahi lafz ban gaya tariKH

ki be-asar koi jumla ada kiya hi nahin

tamam umr sanwara ghazal ki duniya ko

ki 'ashk' hum ne kuchh is ke siwa kiya hi nahin

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ana Ne TuT Ke Kuchh Faisla Kiya Hi Nahin In English By Famous Poet Ibrahim Ashk. Ana Ne TuT Ke Kuchh Faisla Kiya Hi Nahin is written by Ibrahim Ashk. Read famous Poem Ana Ne TuT Ke Kuchh Faisla Kiya Hi Nahin for youth and Student by Ibrahim Ashk. Free Download Ana Ne TuT Ke Kuchh Faisla Kiya Hi Nahin in PDF.